सोमवार, 25 अप्रैल 2011

Parivartan

Jeevan mein jab kabhi parivartan aana hota hai, toh Prabhu hame pehle hi uske baare mein ingit kar deta hai. woh hame kisi na kisi madhyam se aane wale samay k liye paripakwa karta hai, phir chaahe uske liye woh koi bhi raasta chune.........sahi hi hota hai. Bahot saare log aksar kuchch karne{jo saamajik drishti se anuchit ho} ke baad usko apni galti maante hain............yeh uchit nahi hai. Hamen us kritya ke nihitaarth ko dekhna chaahiye. Aksar jo siksha hamen maa-baap, bhai-behan,pati-patni aur gurujanon se nahin mil paati hai woh kisi anya maadhyam se milti hai ya phir paristithi sikha deti hai. Kuchch log ise ' raaste ke hamsafar'  hone ka naam dete hain.........yeh nitant ghatiya hai lekin wartmaan samay mein ise 'practical approach' kehte hain..............jab hamhari zindgi mein koi shamil ho gaya toh ho gaya........phir chaahe woh guru ho,mitra ho ya shatru.
                                                         Hamen sada aane wale samay ka swagat karna chahiye.............achcha ya bura.........woh samay hamari apni kismat ka hota hai , haan! achcha samay samapt jaldi ho jaata hai aur bura bitaye nahi beetta lekin jo niyati mein likh diya gaya hai usko agar sahajta se sweekaar kar len toh hi aage badhne mein safal honge anyatha pareshaan hote rahenge.
                                                         Ek baat...........jo hum hamesha padhte,sunte chale aa rahen hain ki............'yadi koi dil k kareeb ho toh usko apne se door nahin jaane dena chahiye'...........ekdum theek hai lekin ho sakta hai paas rakhne se woh door ho jaaye.Aisa sabke jeevan mein hota hai hum niyati ke virudh jaakar agar kuchch pana chahten hain toh dukh hi prapt hota hai. Isliye hamesha sahi samay per kaarya kar lena chahiye, kyonki..............................mai wohi aur tu wohi,lekin samay raha ab woh nahin. Samay se jyada nishthur aur kathor koi nahin.Woh apni upeksha ka badla leta awashya hai.
                                                        

2 टिप्‍पणियां:

  1. बहुत सारगर्भित प्रस्तुति...नव वर्ष की अग्रिम हार्दिक शुभकामनायें!

    जवाब देंहटाएं
  2. मेरे लिए तो हर पल , हर दिन नया है . हिन्दू नव वर्ष(२३ मार्च २०१२ ) की अग्रिम बधाइयाँ..आपको !
    .

    जवाब देंहटाएं